Hasrat Mohani

didani hain dil-e-KHarab ke rang

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
dīdanī haiñ dil-e-ḳharāb ke rañg
aah us chashm-e-pur-hijāb ke rañg
fasl-e-gul meñ paḌeñ to ḳhuub khileñ
ḳhirqa-e-zohad par sharāb ke rañg
shauq-e-mai dil meñ lab pe hijv-e-sharāb
ham pe raushan haiñ sab janāb ke rañg
nahīñ tauba kī ḳhair haiñ jo yahī
josh-e-hañgāma-e-sahāb ke rañg
kal ke maqbūl aaj haiñ mardūd
aah is daur-e-inqilāb ke rañg
qābil-e-dīd haiñ visāl kī shab
ārzū-hā-e-kāmyāb ke rañg
chehra-e-āshiqī hai pazh-murda
kyā hue vo mai-e-shabāb ke rañg
ḳhail-e-ḳhūbāñ se ek meñ bhī nahīñ
aap ke husn-e-lā-javāb ke rañg
merī māyūsiyoñ se haiñ paidā
kashmakash-hā-e-iztirāb ke rañg
dil ke hāthoñ bahut rahe haiñ ḳharāb
'hasrat'-e-ḳhānumāñ ḳharāb ke rañg
Top Urdushayar.com