Hasrat Mohani

humne kis din tere kuche mein guzara na kiya

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
ham ne kis din tire kūche meñ guzārā na kiyā
tū ne ai shoḳh magar kaam hamārā na kiyā
ek hī baar huiiñ vaj.h-e-giraftāri-e-dil
iltifāt un kī nigāhoñ ne dobārā na kiyā
mahfil-e-yār kī rah jā.egī aadhī raunaq
naaz ko us ne agar anjuman-ārā na kiyā
tān-e-ahbāb sune sarzanish-e-ḳhalq sahī
ham ne kyā kyā tirī ḳhātir se gavārā na kiyā
jab diyā tum ne raqīboñ ko diyā jām-e-sharāb
bhuul kar bhī mirī jānib ko ishārā na kiyā
rū-ba-rū chashm-e-tasavvur ke vo har vaqt rahe
na sahī aañkh ne gar un kā nazārā na kiyā
gar yahī hai sitam-e-yār to ham ne 'hasrat'
na kiyā kuchh bhī jo duniyā se kinārā na kiyā
Top Urdushayar.com