Hasrat Mohani

dekhna bhi to unhen dur se dekha karna

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
dekhnā bhī to unheñ duur se dekhā karnā
sheva-e-ishq nahīñ husn ko rusvā karnā
ik nazar bhī tirī kaafī thī pa-e-rāhat-e-jāñ
kuchh bhī dushvār na thā mujh ko shakebā karnā
un ko yaañ vaade pe aa lene de ai abr-e-bahār
jis qadar chāhnā phir baad meñ barsā karnā
shaam ho yā ki sahar yaad unhīñ kī rakhnī
din ho yā raat hameñ zikr unhīñ kā karnā
saum zāhid ko mubārak rahe aabid ko salāt
āsiyoñ ko tirī rahmat pe bharosā karnā
āshiqo husn-e-jafākār kā shikva hai gunāh
tum ḳhabardār ḳhabardār na aisā karnā
kuchh samajh meñ nahīñ aatā ki ye kyā hai 'hasrat'
un se mil kar bhī na iz.hār-e-tamannā karnā
Top Urdushayar.com