Hasrat Mohani

na surat kahin shadmani ki dekhi

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
na sūrat kahīñ shādmānī kī dekhī
bahut sair duniyā-e-fānī kī dekhī
mirī chashm-e-ḳhūñ-bār meñ ḳhuub rah kar
bahār aap ne gul-fishānī kī dekhī
tamannā ne us rū-e-zebā ko dekhā
ki tasvīr husn-e-javānī kī dekhī
ajab shauq se dast-e-sāqī meñ ham ne
surāhī mai-e-arġhavānī kī dekhī
zahe rob-e-husn un ke dar par kisī ne
zarūrat na kuchh pāsbānī kī dekhī
na tum sā ḳhush-aḳhlāq paayā na ham ne
kahīñ shaan ye dil-sitānī kī dekhī
mujhe kar ke māyūs bole vo 'hasrat'
masarrat ġham-e-jāvedānī kī dekhī
Top Urdushayar.com