Hasrat Mohani

bhulata lakh hun lekin barabar yaad aate hain

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
bhulātā laakh huuñ lekin barābar yaad aate haiñ
ilāhī tark-e-ulfat par vo kyūñkar yaad aate haiñ
na chheḌ ai ham-nashīñ kaifiyat-e-sahbā ke afsāne
sharāb-e-be-ḳhudī ke mujh ko sāġhar yaad aate haiñ
rahā karte haiñ qaid-e-hosh meñ ai vā.e-nākāmī
vo dasht-e-ḳhud-farāmoshī ke chakkar yaad aate haiñ
nahīñ aatī to yaad un kī mahīnoñ tak nahīñ aatī
magar jab yaad aate haiñ to aksar yaad aate haiñ
haqīqat khul ga.ī 'hasrat' tire tark-e-mohabbat kī
tujhe to ab vo pahle se bhī baḌh kar yaad aate haiñ
Top Urdushayar.com