Hasrat Mohani

KHu samajh mein nahin aati tere diwanon ki

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
ḳhū samajh meñ nahīñ aatī tire dīvānoñ kī
dāmanoñ kī na ḳhabar hai na girebānoñ kī
jalva-e-sāġhar-o-mīnā hai jo ham-rañg-e-bahār
raunaqeñ turfa taraqqī pe haiñ mai-ḳhānoñ kī
har taraf be-ḳhudī o be-ḳhabarī kī hai numūd
qābil-e-dīd hai duniyā tire hairānoñ kī
sahl is se to yahī hai ki sambhāleñ dil ko
minnateñ kaun kare aap ke darbānoñ kī
aañkh vaale tirī sūrat pe miTe jaate haiñ
sham-e-mahfil kī taraf bhiiḌ hai parvānoñ kī
ai jafākār tire ahd se pahle to na thī
kasrat is darja mohabbat ke pashīmānoñ kī
rāz-e-ġham se hameñ āgāh kiyā ḳhuub kiyā
kuchh nihāyat hī nahīñ aap ke ehsānoñ kī
dushman-e-ahl-e-muravvat hai vo begāna-e-uns
shakl pariyoñ kī hai ḳhū bhī nahīñ insānoñ kī
hamrah-e-ġhair mubārak unheñ gul-gasht-e-chaman
sair ham ko bhī mayassar hai bayābānoñ kī
ik bakheḌā hai nazar meñ sar-o-sāmān-e-vajūd
ab ye hālat hai tire soḳhta-sāmānoñ kī
faiz-e-sāqī kī ajab dhuum hai mai-ḳhānoñ meñ
har taraf mai kī talab maañg hai paimānoñ kī
āshiqoñ hī kā jigar hai ki haiñ ḳhursañd-e-jafā
kāfiroñ kī hai ye himmat na musalmānoñ kī
yaad phir taaza huī haal se tere 'hasrat'
qais o farhād ke guzre hue afsānoñ kī
Top Urdushayar.com