Hasrat Mohani

aur to pas mere hijr mein kya rakkha hai

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
aur to paas mire hijr meñ kyā rakkhā hai
ik tire dard ko pahlū meñ chhupā rakkhā hai
dil se arbāb-e-vafā kā hai bhulānā mushkil
ham ne ye un ke taġhāful ko sunā rakkhā hai
tum ne baal apne jo phūloñ meñ basā rakkhe haiñ
shauq ko aur bhī dīvāna banā rakkhā hai
saḳht bedard hai tāsīr-e-mohabbat ki unheñ
bistar-e-nāz pe sote se jagā rakkhā hai
aah vo yaad ki us yaad ko ho kar majbūr
dil-e-māyūs ne muddat se bhulā rakkhā hai
kyā ta.ammul hai mire qatl meñ ai bāzū-e-yār
ek hī vaar meñ sar tan se judā rakkhā hai
husn ko jaur se begāna na samjho ki use
ye sabaq ishq ne pahle hī paḌhā rakkhā hai
terī nisbat se sitamgar tire māyūsoñ ne
dāġh-e-hirmāñ ko bhī siine se lagā rakkhā hai
kahte haiñ ahl-e-jahāñ dard-e-mohabbat jis ko
naam usī kā dil-e-muztar ne davā rakkhā hai
nigah-e-yār se paikān-e-qazā kā mushtāq
dil-e-majbūr nishāne pe khulā rakkhā hai
is kā anjām bhī kuchh soch liyā hai 'hasrat'
tū ne rabt un se jo is darja baḌhā rakkhā hai
Top Urdushayar.com