dil-e-nādāñ mirā hai be-taqsīr
zab.h karte ho uus kuuñ be-takbīr
naqsh-e-dīvār sehn-e-gulshan hai
jis ne dekhā hai yaar kī tasvīr
āshiqoñ kuuñ nahīñ hai rusvā.ī
mus.haf-e-ishq kī hai ye tafsīr
gardish-e-chashm-e-yār bejā nahīñ
dil ke lene kī hai use tadbīr
bul-havas kab talak rahe āzād
khol sayyād zulf kī zanjīr
jāntī hai vo zulf-e-uqda-kushā
mere āshufta ḳhvāb kī ta.abīr
shab-e-hijrāñ meñ ai 'sirāj' mujhe
ashk hai sham.a aur palak gul-gīr