paiham diyā pyāla-e-mai barmalā diyā
saaqī ne iltifāt kā dariyā bahā diyā
us hīla-jū ne vasl kī shab ham se ruuTh kar
nairañg-e-rozgār kā aalam dikhā diyā
allāh rī bahār kī rañg afrīniyāñ
sehn-e-chaman ko taḳhta-e-jannat banā diyā
ab vo hujūm-e-shauq kī sarmastiyāñ kahāñ
māyūsi-e-firāq ne dil hī bujhā diyā
'hasrat' ye vo ġhazal hai jise sun ke sab kaheñ
'momin' se apne rañg ko tū ne milā diyā