Hasrat Mohani

hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
hai mashq-e-suḳhan jaarī chakkī kī mashaqqat bhī
ik turfa tamāshā hai 'hasrat' kī tabī.at bhī
jo chāho sazā de lo tum aur bhī khul khelo
par ham se qasam le lo kī ho jo shikāyat bhī
dushvār hai rindoñ par inkār-e-karam yaksar
ai sāqi-e-jāñ-parvar kuchh lutf-o-ināyat bhī
dil bas-ki hai dīvāna us husn-e-gulābī kā
rañgīñ hai usī rū se shāyad ġham-e-furqat bhī
ḳhud ishq kī gustāḳhī sab tujh ko sikhā degī
ai husn-e-hayā-parvar shoḳhī bhī sharārat bhī
barsāt ke aate hī tauba na rahī baaqī
bādal jo nazar aa.e badlī merī nīyat bhī
ushshāq ke dil nāzuk us shoḳh kī ḳhū nāzuk
nāzuk isī nisbat se hai kār-e-mohabbat bhī
rakhte haiñ mire dil par kyuuñ tohmat-e-betābī
yaañ nāla-e-muztar kī jab mujh meñ ho quvvat bhī
ai shauq kī bebākī vo kyā terī ḳhvāhish thī
jis par unheñ ġhussa hai inkār bhī hairat bhī
har-chand hai dil shaidā hurriyat-e-kāmil kā
manzūr-e-duā lekin hai qaid-e-mohabbat bhī
haiñ 'shād' o 'safī' shā.ir yā 'shauq' o 'vafā' 'hasrat'
phir 'zāmin' o 'mahshar' haiñ 'iqbāl' bhī 'vahshat' bhī
Top Urdushayar.com