tābāñ jo nūr-e-husn ba-sīmā-e-ishq hai
kis darja dil-pazīr tamāshā-e-ishq hai
arbāb-e-hosh jitne haiñ bīmār-e-aql haiñ
un ke liye zarūr mudāvā-e-ishq hai
maiñ kyā huuñ ek zarra-e-sahrā-e-ishtiyāq
dil kyā hai ek qatra-e-dariyā-e-ishq hai
shaah o gadā kā farq nahīñ ahd-e-husn meñ
ab jis ko dekhiye use dāvā-e-ishq hai
zāhir hai be-qarāri-e-paiham se hāl-e-dil
bekār ham ko dāvā-e-iḳhfā-e-ishq hai
pinhāñ hijāb-e-nāz meñ hai sūrat-e-jamāl
paidā harūf-e-shauq se mānā-e-ishq hai
ai ahl-e-aql kyuuñ ho use fikr-e-nām-o-nañg
'hasrat' ḳharāb-e-ishq hai rusvā-e-ishq hai