toḌ kar ahd-e-karam nā-āshnā ho jā.iye
banda-parvar jā.iye achchhā ḳhafā ho jā.iye
mere uzr-e-jurm par mutlaq na kiije iltifāt
balki pahle se bhī baḌh kar kaj-adā ho jā.iye
ḳhātir-e-mahrūm ko kar dījiye mahv-e-alam
dar-pa-e-īzā-e-jān-e-mubtalā ho jā.iye
raah meñ miliye kabhī mujh se to az-rāh-e-sitam
hoñT apnā kaaT kar fauran judā ho jā.iye
gar nigāh-e-shauq ko mahv-e-tamāshā dekhiye
qahr kī nazroñ se masrūf-e-sazā ho jā.iye
merī tahrīr-e-nadāmat kā na diije kuchh javāb
dekh liije aur taġhāful-āshnā ho jā.iye
mujh se tanhā.ī meñ gar miliye to diije gāliyāñ
aur bazm-e-ġhair meñ jān-e-hayā ho jā.iye
haañ yahī merī vafā-e-be-asar kī hai sazā
aap kuchh is se bhī baḌh kar pur-jafā ho jā.iye
jī meñ aatā hai ki us shoḳh-e-taġhāful-kesh se
ab na miliye phir kabhī aur bevafā ho jā.iye
kāvish-e-dard-e-jigar kī lazzatoñ ko bhuul kar
mā.il-e-ārām o mushtāq-e-shifā ho jā.iye
ek bhī armāñ na rah jaa.e dil-e-māyūs meñ
yaanī āḳhir be-niyāz-e-mudda.ā ho jā.iye
bhuul kar bhī us sitam-parvar kī phir aa.e na yaad
is qadar begāna-e-ahd-e-vafā ho jā.iye
haa.e rī be-iḳhtiyārī ye to sab kuchh ho magar
us sarāpā naaz se kyūñkar ḳhafā ho jā.iye
chāhtā hai mujh ko tū bhūle na bhūlūñ maiñ tujhe
tere is tarz-e-taġhāful ke fidā ho jā.iye
kashmakash-hā-e-alam se ab ye 'hasrat' jī meñ hai
chhuT ke in jhagḌoñ se mehmān-e-qazā ho jā.iye