apnā sā shauq auroñ meñ laa.eñ kahāñ se ham
ghabrā ga.e haiñ be-dili-e-hamrahāñ se ham
kuchh aisī duur bhī to nahīñ manzil-e-murād
lekin ye jab ki chhūT chaleñ kārvāñ se ham
ai yād-e-yār dekh ki bā-vasf-e-ranj-e-hijr
masrūr haiñ tirī ḳhalish-e-nā-tavāñ se ham
mālūm sab hai pūchhte ho phir bhī mudda.ā
ab tum se dil kī baat kaheñ kyā zabāñ se ham
ai zohd-e-ḳhushk terī hidāyat ke vāste
sauġhāt-e-ishq laa.e haiñ kū-e-butāñ se ham
betābiyoñ se chhup na sakā hāl-e-ārzū
āḳhir bache na us nigah-e-bad-gumāñ se ham
pīrāna-sar bhī shauq kī himmat buland hai
ḳhvāhān-e-kām-e-jāñ haiñ jo us naujavāñ se ham
māyūs bhī to karte nahīñ tum za-rāh-e-nāz
tañg aa ga.e haiñ kashmakash-e-imtihāñ se ham
ḳhalvat banegī tere ġham-e-jāñ-navāz kī
leñge ye kaam apne dil-e-shādmāñ se ham
hai intihā-e-yās bhī ik ibtidā-e-shauq
phir aa ga.e vahīñ pe chale the jahāñ se ham
'hasrat' phir aur jā ke kareñ kis kī bandagī
achchhā jo sar uThā.eñ bhī is āstāñ se ham