Hasrat Mohani

nazzara-e-paiham ka sila mere liye hai

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
nazzāra-e-paiham kā silā mere liye hai
har samt vo ruḳh jalva-numā mere liye hai
us chehra-e-anvar kī ziyā mere liye hai
vo zulf-e-siyah tāb-e-dotā mere liye hai
zinhār agar ahl-e-havas tujh pe fidā huuñ
ye martaba-e-sadq-o-safā mere liye hai
ban kar maiñ razākār muhayyā-e-fanā huuñ
āvāza-e-haq bāñg-e-darā mere liye hai
ḳhush-nūdi-e-fujjār ke pairav haiñ yazīdī
taqlīd-e-shah-e-karb-o-balā mere liye hai
mahrūm huuñ majbūr huuñ be-tāb-o-tavāñ huuñ
maḳhsūs tire ġham kā mazā mere liye hai
sarmāya-e-rāhat hai fanā kī mujhe talḳhī
is zahr meñ sāmān-e-baqā mere liye hai
jannat kī havas ho to maiñ kāfir ki pareshāñ
us shoḳh kī ḳhushbu-e-qabā mere liye hai
pahle bhī kuchh ummīd na thī chāragaroñ ko
aur ab to davā hai na duā mere liye hai
mar jā.ūñgā mai-ḳhāne se niklā jo kabhī maiñ
nazzāra-e-mai rūh-fazā mere liye hai
tashḳhīs-e-tabībāñ pe hañsī aatī hai 'hasrat'
ye dard-e-jigar hai ki davā mere liye hai
Top Urdushayar.com