Hasrat Mohani

na sahi gar unhen KHayal nahin

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
na sahī gar unheñ ḳhayāl nahīñ
ki hamārā bhī ab vo haal nahīñ
yaad unheñ vāda-e-visāl nahīñ
kab kiyā thā yahī ḳhayāl nahīñ
aise bigḌe vo sun ke shauq kī baat
aaj tak ham se bol-chāl nahīñ
mujh ko ab ġham ye hai ki baad mire
ḳhātir-e-yār be-malāl nahīñ
afv-e-haq kā hai mai-kashoñ pe nuzūl
rezish-e-abr-e-barshagāl nahīñ
ham pe kyuuñ arz-e-hāl-e-dil pe itaab
elchī ko kahīñ zavāl nahīñ
sun ke mujh se vo ḳhvāhish-e-pā-bos
hañs ke kahne lage majāl nahīñ
dil ko hai yaad shauq kā vo hunar
jis se baḌh kar koī kamāl nahīñ
aap nādim na hoñ ki 'hasrat' se
shikva-e-ġham kā ehtimāl nahīñ
Top Urdushayar.com