chupke chupke raat din aañsū bahānā yaad hai
ham ko ab tak āshiqī kā vo zamānā yaad hai
bā-hazārāñ iztirāb o sad-hazārāñ ishtiyāq
tujh se vo pahle-pahal dil kā lagānā yaad hai
baar baar uThnā usī jānib nigāh-e-shauq kā
aur tirā ġhurfe se vo āñkheñ laḌānā yaad hai
tujh se kuchh milte hī vo bebāk ho jaanā mirā
aur tirā dāñtoñ meñ vo uñglī dabānā yaad hai
khīñch lenā vo mirā parde kā konā daf.atan
aur dupaTTe se tirā vo muñh chhupānā yaad hai
jaan kar sotā tujhe vo qasd-e-pā-bosī mirā
aur tirā Thukrā ke sar vo muskurānā yaad hai
tujh ko jab tanhā kabhī paanā to az-rāh-e-lihāz
hāl-e-dil bātoñ hī bātoñ meñ jatānā yaad hai
jab sivā mere tumhārā koī dīvāna na thā
sach kaho kuchh tum ko bhī vo kār-ḳhānā yaad hai
ġhair kī nazroñ se bach kar sab kī marzī ke ḳhilāf
vo tirā chorī-chhupe rātoñ ko aanā yaad hai
aa gayā gar vasl kī shab bhī kahīñ zikr-e-firāq
vo tirā ro ro ke mujh ko bhī rulānā yaad hai
dopahar kī dhuup meñ mere bulāne ke liye
vo tirā koThe pe nañge paañv aanā yaad hai
aaj tak nazroñ meñ hai vo sohbat-e-rāz-o-niyāz
apnā jaanā yaad hai terā bulānā yaad hai
mīThī mīThī chheḌ kar bāteñ nirālī pyaar kī
zikr dushman kā vo bātoñ meñ uḌānā yaad hai
dekhnā mujh ko jo bargashta to sau sau naaz se
jab manā lenā to phir ḳhud ruuTh jaanā yaad hai
chorī chorī ham se tum aa kar mile the jis jagah
muddateñ guzrīñ par ab tak vo Thikānā yaad hai
shauq meñ mehñdī ke vo be-dast-o-pā honā tirā
aur mirā vo chheḌnā vo gudgudānā yaad hai
bāvajūd-e-iddi.ā-e-ittiqā 'hasrat' mujhe
aaj tak ahd-e-havas kā vo fasānā yaad hai