fajar uTh yaar kā dīdār karnāñ
shab-e-hijrāñ kā dukh iz.hār karnāñ
agar sābit hai ai dil kufr meñ tuuñ
qayāmat meñ yahī iqrār karnāñ
kahā yuuñ khol kar zulfoñ kuuñ sayyād
kisī vahshī kuuñ apnā yaar karnāñ
tasavvur meñ tire ai maz.har-e-rab
tamāshā-e-dar-o-dīvār karnāñ
tujhe saugand apne chāhte kī
ki apne chāhte par pyaar karnāñ
na kahnāñ ḳhuub hai tujh zulf kī baat
abas har taar kā bistār karnāñ
'sirāj' ab ishq kī parvāngī hai
ki sair-e-kūcha-o-bāzār karnāñ