Hasrat Mohani

kya tumko ilaj-e-dil-e-shaida nahin aata

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
kyā tum ko ilāj-e-dil-e-shaidā nahīñ aatā
aatā hai par is tarah ki goyā nahīñ aatā
ho jaatī thī taskīn so ab fart-e-alam se
is baat ko rote haiñ ki ronā nahīñ aatā
tum ho ki tumheñ vāda-vafā.ī kī nahīñ ḳhū
maiñ huuñ ki mujhe tum se taqāzā nahīñ aatā
hai paas ye kis kī nigah-e-mahv-e-hayā kā
lab tak jo mire harf-e-tamannā nahīñ aatā
un kī nigah-e-mast ke jalve haiñ nazar meñ
bhūle se bhī zikr-e-mai-o-mīnā nahīñ aatā
shoḳhī se vo mānā-e-sitam pūchh rahe haiñ
ab lafz-e-jafā bhī unheñ goyā nahīñ aatā
maiñ dard kī lazzat se razā-mand huuñ 'hasrat'
mujh ko sitam-e-yār kā shikvā nahīñ aatā
Top Urdushayar.com