un ko jo shuġhl-e-nāz se fursat na ho sakī
ham ne ye kah diyā ki mohabbat na ho sakī
shukr-e-jafā bhī ahl-e-razā ne kiyā adā
un se yahī nahīñ ki shikāyat na ho sakī
shab kā ye haal hai ki tirī yaad ke sivā
dil ko kisī ḳhayāl se rāhat na ho sakī
pā-bos kī bhī ham ko ijāzat na de sake
itnī bhī tum se qadr-e-mohabbat na ho sakī
ġharq-e-surūr-o-sūr mujhe pā ke daf.atan
nāseh se tark-e-mai kī nasīhat na ho sakī
ḳhāmoshiyoñ kā rāz-e-mohabbat vo pā ga.e
go ham se arz-e-hāl kī jur.at na ho sakī
kar dī zabān-e-shauq ne sab sharh-e-ārzū
alfāz meñ agarche sarāhat na ho sakī
lutf-e-mazīd kī maiñ tamannā to kar sakā
tum ye to kah sake ki qanā.at na ho sakī
kyuuñ itnī jald ho ga.e ghabrā ke ham fanā
ai dard-e-yār kuchh tirī ḳhidmat na ho sakī
vaa.iz ko apne aib-e-riyā kā rahā ḳhayāl
rindoñ kī saaf saaf mazammat na ho sakī
arbāb-e-qāl haal pe ġhālib na aa sake
zāhid se āshiqoñ kī imāmat na ho sakī
aisā bhī kyā itaab ki saaqī bachī-kuchhī
āḳhir meñ kuchh bhī ham ko ināyat na ho sakī
un se maiñ apne dil kā taqāzā na kar sakā
ye baat thī ḳhilāf-e-muravvat na ho sakī
kyuuñ aa.e hosh meñ jo ibādat na kar sake
pīr-e-muġhāñ kī ham se itā.at na ho sakī
'hasrat' tirī nigāh-e-mohabbat ko kyā kahūñ
mahfil meñ raat un se sharārat na ho sakī