mudāvā-e-dil-e-dīvāna karte
ye karte ham to kuchh achchhā na karte
vafā sādiq agar hotī hamārī
vo karte bhī to jaur itnā na karte
ham achchhā thā jo bahr-e-parda-poshī
mohabbat kā tirī charchā na karte
tumhārī fitna-pardāzī kā shikvā
jo ham karte to kuchh bejā na karte
nigāheñ āshiqoñ kī thī havas-kār
vo kyā karte agar pardā na karte
jo phir milne kī hotī kuchh bhī ummīd
to ham us ke liye kyā kyā na karte
talab kā hausla hotā to ik din
ḳhitāb us but se bebākāna na karte
hamārā paas unheñ kuchh bhī jo hotā
kisī kī aur ham parvā na karte
shakebā.ī kā dam rakhte to 'hasrat'
unheñ yuuñ shauq se dekhā na karte