Hasrat Mohani

dua mein zikr kyun ho muddaa ka

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
duā meñ zikr kyuuñ ho mudda.ā kā
ki ye sheva nahīñ ahl-e-razā kā
talab merī bahut kuchh hai magar kyā
karam terā hai ik dariyā atā kā
kahāñ tak naaz uThā.e āḳhir ai husn
havas tere mizāj-e-ḳhud satā kā
nahīñ mālūm kyā ai shāh-e-ḳhūbāñ
tujhe kuchh haal apne mubtilā kā
bajā-e-ism-e-āzam aap kā naam
vazīfa hai mirā sub.h o masā kā
ġhazab kā sāmnā hai āshiqoñ ko
dayār-e-haq meñ afvāj-e-balā kā
nisār un par hue achchhe rahe ham
taqāzā thā yahī ḳhū-e-vafā kā
gunahgāro chalo afv-e-ilāhī
bahut mushtāq hai arz-e-ḳhatā kā
tirī mahfil meñ ahl-e-dil ko jalva
nazar aa jā.egā shān-e-ḳhudā kā
uThāyā hai mazā dil ne bahut kuchh
mohabbat ke ġham-e-rāhat-fazā kā
jafā ko bhī vafā samjho ki 'hasrat'
tumheñ haq un se kyā chūn-o-charā kā
Top Urdushayar.com