Hasrat Mohani

pairaw-e-maslak-e-taslim-o-raza hote hain

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
pairav-e-maslak-e-taslīm-o-razā hote haiñ
ham terī rāh-e-mohabbat meñ fanā hote haiñ
sharm kar sharm ki ai jazba-e-tāsīr-e-vafā
tere hāthoñ vo pashīmān-e-jafā hote haiñ
chheḌtī hai mujhe bebāki-e-ḳhvāhish kyā kyā
jab kabhī haath vo pāband-e-hinā hote haiñ
na asar aah meñ kuchh hai na duā meñ tāsīr
tiir ham jitne chalāte haiñ ḳhatā hote haiñ
ahl-e-dil sunte haiñ ik sāz-e-mohabbat kī navā
ham tirī yaad meñ jab naġhma-sarā hote haiñ
lazzat-e-dard na kyuuñ ahl-e-havas par ho harām
ki vo kam-baḳht talabgār-e-davā hote haiñ
kishvar-e-ishq meñ duniyā se nirālā hai rivāj
kaam jo ban na paḌeñ yaañ vo ravā hote haiñ
hech ham samjhe do aalam ko to hairat kyā hai
rutbe ushshāq ke is se bhī sivā hote haiñ
jism hotā hai judā jaan se goyā 'hasrat'
āsmāñ un se chhuḌātā hai judā hote haiñ
Top Urdushayar.com