Hasrat Mohani

ghaTega tere kuche mein waqar aahista aahista

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
ghaTegā tere kūche meñ vaqār āhista āhista
baḌhegā āshiqī kā e'tibār āhista āhista
bahut nādim hue āḳhir vo mere qatl-e-nāhaq par
huī qadr-e-vafā jab āshkār āhista āhista
jilā-e-shauq se ā.īna-e-tasvīr-e-ḳhātir meñ
numāyāñ ho chalā rū-e-nigār āhista āhista
mohabbat kī jo phailī hai ye nik.hat bāġh-e-ālam meñ
huī hai muntashir ḳhushbu-e-yār āhista āhista
dil o jaan o jigar sabr o ḳhirad jo kuchh hai paas apne
ye sab kar deñge ham un par nisār āhista āhista
ajab kuchh haal ho jaatā hai apnā be-qarārī se
bajāte haiñ kabhī jab vo sitār āhista āhista
asar kuchh kuchh rahegā vasl meñ bhī rañj-e-furqat kā
dil-e-muztar ko aa.egā qarār āhista āhista
na ā.eñge vo 'hasrat' intizār-e-shauq meñ yūñhī
guzar jā.eñge ayyām-e-bahār āhista āhista
Top Urdushayar.com