Siraj Aurangabadi

jis ne tujh husn par nigah kiya

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
jis ne tujh husn par nigāh kiyā
nūr-e-ḳhurshīd farsh-e-rāh kiyā
haq ne apne karam satī muj kuuñ
mulk-e-ḳhūbī kā pādshāh kiyā
mashq-e-ġhaflat se tīra-bātin ne
safha-e-zindagī siyāh kiyā
hauz-e-kausar kā tishna-lab kab hai
is zanaḳhdāñ kī jis ne chaah kiyā
kūcha-e-zulf meñ gayā jab dil
barg-e-sumbul kuuñ zād-e-rāh kiyā
barq-e-ḳhirman hai jān-e-dushman kā
dard siiñ jis ne ek aah kiyā
mat jalā ab 'sirāj' kuuñ zālim
shola-e-ġham kuuñ uzr-ḳhvāh kiyā
Top Urdushayar.com