kyā kaam unheñ pursish-e-arbāb-e-vafā se
martā hai to mar jaa.e koī un kī balā se
mujh se bhī ḳhafā ho mirī aahoñ se bhī barham
tum bhī ho ajab chiiz ki laḌte ho havā se
dāman ko bachātā hai vo kāfir ki mabādā
chhū jaa.e kahīñ pāki-e-ḳhūn-e-shohdā se
dīvāna kiyā sāqi-e-mahfil ne sabhī ko
koī na bachā us nazar-e-hosh-rubā se
ik ye bhī haqīqat meñ hai shān-e-karam un kī
zāhir meñ vo rahte haiñ jo har vaqt ḳhafā se
āgāh-e-ġham-e-ishq nahīñ vo shah-e-ḳhūbāñ
aur ye bhī jo ho jaa.e faqīroñ kī duā se
qaa.il hue rindān-e-ḳharābāt ke 'hasrat'
jab kuchh na milā ham ko giroh-e-urfā se