Hasrat Mohani

badal-e-lazzat-e-azar kahan se laun

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
badal-e-lazzat-e-āzār kahāñ se lā.ūñ
ab tujhe ai sitam-e-yār kahāñ se lā.ūñ
pursish-e-hāl pe hai ḳhātir-e-jānāñ maa.il
jur.at-e-koshish-e-iz.hār kahāñ se lā.ūñ
hai vahāñ shān-e-taġhāful ko jafā se bhī gurez
iltifāt-e-nigah-e-yār kahāñ se lā.ūñ
nuur anqā hai shab-e-hijr kī tārīkī meñ
jalva-e-sub.h ke āsār kahāñ se lā.ūñ
sohbat-e-ahl-e-safā ḳhuub hai maanā lekin
raunaq-e-ḳhāna-e-ḳhummār kahāñ se lā.ūñ
sher mere bhī haiñ pur-dard va-lekin 'hasrat'
'mīr' kā sheva-e-guftār kahāñ se lā.ūñ
Top Urdushayar.com