āsān-e-haqīqī hai na kuchh sahal-e-majāzī
ma.alūm huī rāh-e-mohabbat kī darāzī
kuchh lutf o nazar lāzim o malzūm nahīñ haiñ
ik ye bhī tamannā kī na ho shobada baazī
dil ḳhuub samajhtā hai tire harf-e-karam ko
har-chand vo urdu hai na turkī hai na taazī
qaa.im hai na vo husn-e-ruḳh-e-yār kā aalam
baaqī hai na vo shauq kī hañgāma-navāzī
ai ishq tirī fat.h bahar-hāl hai sābit
mar kar bhī shahīdān-e-mohabbat hue ġhāzī
kar jald hameñ ḳhatm kahīñ ai ġham-e-jānāñ
kaam aa.egī kis roz tirī sīna-gudāzī
ma.alūm hai duniyā ko ye 'hasrat' kī haqīqat
ḳhalvat meñ vo mai-ḳhvār hai jalvat meñ namāzī