yaar jab pesh-e-nazar hotā hai
dil mirā zer-o-zabar hotā hai
ho ḳhajil baaġh meñ gul aab huā
jab siiñ gul-rū kā guzar hotā hai
dāġh-e-dil kuuñ mire nahīñ bahra-e-vasl
garche har gul kuuñ samar hotā hai
gard-e-ġham dilbar-e-ḳhush-chashm baġhair
surma-e-chashm-e-jigar hotā hai
dil liyā nargis-e-sāhir ne tirī
sach ki jaadū kuuñ asar hotā hai
teġh-e-abrū siiñ tirī ḳhauf nahīñ
dil mirā jā-e-sipar hotā hai
sham.a-rū kī shab-e-hijrāñ meñ 'sirāj'
aag ġham daaġh sharar hotā hai