Hasrat Mohani

tere dard se jis ko nisbat nahin hai

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
tire dard se jis ko nisbat nahīñ hai
vo rāhat musībat hai rāhat nahīñ hai
junūn-e-mohabbat kā dīvāna huuñ maiñ
mire sar meñ saudā-e-hikmat nahīñ hai
tire ġham kī duniyā meñ ai jān-e-ālam
koī ruuh mahrūm-e-rāhat nahīñ hai
mujhe garm-e-nazzāra dekhā to hañs kar
vo bole ki is kī ijāzat nahīñ hai
jhukī hai tire bār-e-irfāñ se gardan
hameñ sar uThāne kī fursat nahīñ hai
ye hai un ke ik rū-e-rañgīñ kā partav
bahār-e-tilism-e-latāfat nahīñ hai
tire sarfaroshoñ meñ hai kaun aisā
jise dil se shauq-e-shahādat nahīñ hai
taġhāful kā shikva karūñ un se kyūñkar
vo kah deñge tū be-muravvat nahīñ hai
vo kahte haiñ shoḳhī se ham dilrubā haiñ
hameñ dil navāzī kī aadat nahīñ hai
shahīdān-e-ġham haiñ subuk ruuh kyā kyā
ki us dil pe bār-e-nadāmat nahīñ hai
namūna hai takmīl-e-husn-e-suḳhan kā
guhar bāri-e-tabā-e-hasrat nahīñ hai
Top Urdushayar.com