Hasrat Mohani

husn-e-be-parwa ko KHud-bin o KHud-ara kar diya

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
husn-e-be-parvā ko ḳhud-bīn o ḳhud-ārā kar diyā
kyā kiyā maiñ ne ki iz.hār-e-tamannā kar diyā
baḌh ga.iiñ tum se to mil kar aur bhī betābiyāñ
ham ye samjhe the ki ab dil ko shakebā kar diyā
paḌh ke terā ḳhat mire dil kī ajab hālat huī
iztirāb-e-shauq ne ik hashr barpā kar diyā
ham rahe yaañ tak tirī ḳhidmat meñ sargarm-e-niyāz
tujh ko āḳhir āshnā-e-nāz-e-bejā kar diyā
ab nahīñ dil ko kisī sūrat kisī pahlū qarār
us nigāh-e-nāz ne kyā sehr aisā kar diyā
ishq se tere baḌhe kyā kyā diloñ ke martabe
mehr zarroñ ko kiyā qatroñ ko dariyā kar diyā
kyuuñ na ho terī mohabbat se munavvar jaan o dil
sham.a jab raushan huī ghar meñ ujālā kar diyā
terī mahfil se uThātā ġhair mujh ko kyā majāl
dekhtā thā maiñ ki tū ne bhī ishāra kar diyā
sab ġhalat kahte the lutf-e-yār ko vaj.h-e-sukūñ
dard-e-dil us ne to 'hasrat' aur duunā kar diyā
Top Urdushayar.com