Hasrat Mohani

us but ke pujari hain musalman hazaron

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951

us but ke pujārī haiñ musalmān hazāroñ

bigḌe haiñ isī kufr meñ īmān hazāroñ

duniyā hai ki un ke ruḳh o gesū pe miTī hai

hairān hazāroñ haiñ pareshān hazāroñ

tanhā.ī meñ bhī tere tasavvur badaulat

dil-bastagi-e-ġham ke haiñ sāmān hazāroñ

ai shauq tirī pasti-e-himmat burā ho

mushkil hue jo kaam the āsān hazāroñ

āñkhoñ ne tujhe dekh liyā ab unheñ kyā ġham

hālāñki abhī dil ko haiñ armān hazāroñ

chhāne haiñ tire ishq meñ āshufta-sarī ne

duniyā-e-musībat ke bayābān hazāroñ

ik baar thā sar gardan-e-'hasrat' pe raheñge

qātil tirī shamshīr ke ehsān hazāroñ

Top Urdushayar.com