dard-e-dil kī unheñ ḳhabar na huī
koī tadbīr kārgar na huī
koshisheñ ham ne kiiñ hazār magar
ishq meñ ek mo'tabar na huī
kar chuke ham ko be-gunāh shahīd
aap kī aañkh phir bhī tar na huī
nā-rasā āh-e-āshiqāñ vo kahāñ
duur un se jo be-asar na huī
aa.ī bujhne ko apnī sham-e-hayāt
shab-e-ġham kī magar sahar na huī
shab the ham garm-e-nāla-hā-e-firāq
sub.h ik āh-e-sard sar na huī
tum se kyūñkar vo chhup sake 'hasrat'
nigah-e-shauq parda dar na huī