but-e-be-dard kā ġham monis-e-hijrāñ niklā
dard jaanā thā jise ham ne vo darmāñ niklā
aañkh jab band huī tab khulīñ āñkheñ apnī
bazm-e-yārāñ jise samjhe the vo zindāñ niklā
hasrat-o-yās kā amboh fuġhāñ kī kasrat
maiñ tirī bazm se kyā bā-sar-o-sāmāñ niklā
ḳhuun ho kar to ye dil aañkh se barsoñ Tapkā
na koī par dil-e-nākām kā armāñ niklā
aa.ina paikar-e-tasvīr nigāh-e-mushtāq
jise dekhā tirī mahfil meñ vo hairāñ niklā
mujh ko hairat hai huā kyā dam-e-ruḳhsat hamdam
jaan niklī mire pahlū se ki jānāñ niklā
ḳhuub dozaḳh kī musībat se bache ham 'hasrat'
is kā dāroġha vahī yaar kā darbāñ niklā