Hasrat Mohani

har haal mein raha jo tera aasra mujhe

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
har haal meñ rahā jo tirā aasrā mujhe
māyūs kar sakā na hujūm-e-balā mujhe
har naġhme ne unhīñ kī talab kā diyā payām
har saaz ne unhīñ kī sunā.ī sadā mujhe
har baat meñ unhīñ kī ḳhushī kā rahā ḳhayāl
har kaam se ġharaz hai unhīñ kī razā mujhe
rahtā huuñ ġharq un ke tasavvur meñ roz o shab
mastī kā paḌ gayā hai kuchh aisā mazā mujhe
rakhiye na mujh pe tark-e-mohabbat kī tohmateñ
jis kā ḳhayāl tak bhī nahīñ hai ravā mujhe
kaafī hai un ke pā-e-hinā-basta kā ḳhayāl
haath aa.ī ḳhuub soz-e-jigar kī davā mujhe
kyā kahte ho ki aur lagā lo kisī se dil
tum sā nazar bhī aa.e koī dūsrā mujhe
begāna-e-adab kiye detī hai kyā karūñ
us mahv-e-nāz kī nigah-e-āshnā mujhe
us be-nishāñ ke milne kī 'hasrat' huī ummīd
āb-e-baqā se baḌh ke hai zahr-e-fanā mujhe
Top Urdushayar.com