Hasrat Mohani

mahrum-e-tarab hai dil-e-dil-gir abhi tak

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
mahrūm-e-tarab hai dil-e-dil-gīr abhī tak
baaqī hai tire ishq kī tāsīr abhī tak
vasl us but-e-bad-ḳhū kā mayassar nahīñ hotā
vābasta-e-taqdīr hai tadbīr abhī tak
ik baar sunī thī so mire dil meñ hai maujūd
ai jān-e-tamannā tirī taqrīr abhī tak
sīkhī thī jo āġhāz-e-mohabbat meñ qalam ne
baaqī hai vo rañgīni-e-tahrīr abhī tak
is darja na betāb ho ai shauq-e-shahādat
hai miyān meñ us shoḳh kī shamshīr abhī tak
kahne ko to maiñ bhuul gayā huuñ magar ai yaar
hai ḳhāna-e-dil meñ tirī tasvīr abhī tak
bhūlī nahīñ dil ko tirī duzdīda-nigāhī
pahlū meñ hai kuchh kuchh ḳhalish-e-tīr abhī tak
the haq pe vo be-shak ki na hote to na hotā
duniyā meñ bapā mātam-e-'shabbīr' abhī tak
guzre bahut ustād magar rañg-e-asar meñ
be-misl hai 'hasrat' suḳhan-e-'mīr' abhī tak
Top Urdushayar.com