lutf kī un se iltijā na kareñ
ham ne aisā kabhī kiyā na kareñ
mil rahegā jo un se milnā hai
lab ko sharminda-e-duā na kareñ
sabr mushkil hai aarzū bekār
kyā kareñ āshiqī meñ kyā na kareñ
maslak-e-ishq meñ hai fikr harām
dil ko tadbīr-āshnā na kareñ
bhuul hī jaa.eñ ham ko ye to na ho
log mere liye duā na kareñ
marzi-e-yār ke ḳhilāf na ho
kaun kahtā hai vo jafā na kareñ
shauq un kā so miT chukā 'hasrat'
kyā kareñ ham agar vafā na kareñ