tujh se garvīda yak zamāna rahā
kuchh faqat maiñ hī mubtilā na rahā
aap ko ab huī hai qadr-e-vafā
jab ki maiñ lā.iq-e-jafā na rahā
rāh-o-rasm-e-vafā vo bhuul ga.e
ab hameñ bhī koī gila na rahā
husn ḳhud ho gayā ġharīb-navāz
ishq muhtāj-e-iltejā na rahā
bas-ki nazzāra soz thā vo jamāl
hosh-e-nazzārgī bajā na rahā
maiñ kabhī tujh se bad-gumāñ na huā
tū kabhī mujh se āshnā na rahā
aap kā shauq bhī to ab dil meñ
aap kī yaad ke sivā na rahā
aur bhī ho ga.e vo ġhāfil-e-ḳhvāb
nāla-e-sub.h-e-nā-rasā na rahā
husn kā naaz āshiqī kā niyāz
ab to kuchh bhī vo mājrā na rahā
ishq jab shikva sanj-e-husn huā
iltijā ho ga.ī gila na rahā
ham bharose pe un ke baiTh rahe
jab kisī kā bhī aasrā na rahā
mere ġham kī huī unheñ bhī ḳhabar
ab to ye dard lā davā na rahā
aarzū terī barqarār rahe
dil kā kyā rahā rahā na rahā
ho ga.e ḳhatm mujh pe jaur-e-falak
ab koī morid-e-balā na rahā
jab se dekhī abul-kalām kī nasr
nazm-e-'hasrat' meñ bhī mazā na rahā