Siraj Aurangabadi

bar tujh hijr ka bhaari hai KHuda KHair kare

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
baar tujh hijr kā bhārī hai ḳhudā ḳhair kare
rāt-din nāla-o-zārī hai ḳhudā ḳhair kare
saḳhtī-e-ġham señ mire dil kā lahū paanī ho
hashm-e-giryāñ satī jaarī hai ḳhudā ḳhair kare
kab mire chāñd ke aane señ ujālā hogā
hijr kī raat añdhārī hai ḳhudā ḳhair kare
chashm-e-ḳhūñ-rez tirī kī hai ajab tund-nigāh
hū-ba-hū ain kaTārī hai ḳhudā ḳhair kare
dil-e-pur-āh siiñ mere vo sanam Dartā nahīñ
kaale nāgoñ kī piTārī hai ḳhudā ḳhair kare
bismil-e-ishq kuuñ hargiz nahīñ ummīd-e-hayāt
zaḳhm us teġh kā kaarī hai ḳhudā ḳhair kare
āshnā sho.ala-e-dūrī señ huā jān-e-'sirāj'
kaah kuuñ aag señ yaarī hai ḳhudā ḳhair kare
Top Urdushayar.com