hameñ vaqf-e-ġham sar-ba-sar dekh lete
vo tum kuchh na karte magar dekh lete
na karte kabhī ḳhvāhish-e-sair-e-jannat
jo vaa.iz tirā rahguzar dekh lete
rasā.ī kahāñ bazm-e-dushman meñ apnī
ki ham bhī unheñ ik nazar dekh lete
tamannā ko phir kuchh shikāyat na rahtī
jo tum bhuul kar bhī idhar dekh lete
na rahtī ḳhabar diin o duniyā kī 'hasrat'
jo sote unheñ be-ḳhabar dekh lete