nigāh-e-yār jise āshnā-e-rāz kare
vo apnī ḳhūbi-e-qismat pe kyuuñ na naaz kare
diloñ ko fikr-e-do-ālam se kar diyā āzād
tire junūñ kā ḳhudā silsila darāz kare
ḳhirad kā naam junūñ paḌ gayā junūñ kā ḳhirad
jo chāhe aap kā husn-e-karishma-sāz kare
tire sitam se maiñ ḳhush huuñ ki ġhāliban yuuñ bhī
mujhe vo shāmil-e-arbāb-e-imtiyāz kare
ġham-e-jahāñ se jise ho farāġh kī ḳhvāhish
vo un ke dard-e-mohabbat se sāz-bāz kare
ummīd-vār haiñ har samt āshiqoñ ke giroh
tirī nigāh ko allāh dil-navāz kare
tire karam kā sazā-vār to nahīñ 'hasrat'
ab aage terī ḳhushī hai jo sarfarāz kare