Hasrat Mohani

kya wo ab nadim hain apne jaur ki rudad se

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951
kyā vo ab nādim haiñ apne jaur kī rūdād se
laa.e haiñ meraTh jo āḳhir mujh ko faizabad se
sair-e-gul ko aa.ī thī jis dam savārī aap kī
phuul uTThā thā chaman faḳhr-e-mubārakbād se
har kas-o-nā-kas ho kyūñkar kām-gār-e-be-ḳhudī
ye hunar sīkhā hai dil ne ik baḌe ustād se
ik jahāñ mast-e-mohabbat hai ki har sū bū-e-uns
chhā.ī hai un gesuoñ kī nik.hat-e-barbād se
ab talak maujūd hai kuchh kuchh lagā laa.e the ham
vo jo ik lapkā kabhī na ḳhāk-e-jahāñ ābād se
dāva-e-taqvā kā 'hasrat' kis ko aatā hai yaqīñ
aap aur jaate raheñ pīr-e-muġhāñ kī yaad se
Top Urdushayar.com