siyahkār the bā-safā ho ga.e ham
tire ishq meñ kyā se kyā ho ga.e ham
na jaanā ki shauq aur bhaḌkegā merā
vo samjhe ki us se judā ho ga.e ham
dam-e-vāpsīñ aa.e pursish ko nāhaq
bas ab jaao tum se ḳhafā ho ga.e ham
hue mahv kis kī tamannā meñ aise
ki mustaġhni-e-mā-sivā ho ga.e ham
unheñ ranj ab kyuuñ huā ham to ḳhush haiñ
ki mar kar shahīd-e-vafā ho ga.e ham
jab un se adab ne na kuchh muñh se māñgā
to ik paikar-e-iltijā ho ga.e ham
tirī fikr kā mubtilā ho gayā dil
magar qaid-e-ġham se rihā ho ga.e ham
fanā ho ke rāh-e-mohabbat meñ 'hasrat'
sazā-vār-e-ḳhuld-e-baqā ho ga.e ham