ġham-e-āhista-rau yaañ rafta rafta
kiyā hai mujh kuuñ hairāñ rafta rafta
vo sāhir ne adā kā sehr kar kar
liyā mujh siiñ dil-o-jāñ rafta rafta
jigar ushshāq kā dāġh-e-jafā suuñ
huā sehn-e-gulistāñ rafta rafta
kamand-e-zulf dikhlā kar kiyā hai
mire dil kuuñ pareshāñ rafta rafta
zi-bas us yūsuf-e-misrī ke haiñ lab
huā dil misl-e-kan.āñ rafta rafta
'sirāj' ab tū na ho ġhamgīñ ki rahmāñ
karegā mushkil āsāñ rafta rafta