Siraj Aurangabadi

ishq mein aa ki aql kun khonan

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
ishq meñ aa ki aql kuuñ khonāñ
bā-ḳhirad ho ke be-ḳhirad honāñ
farsh-e-maḳhmal siiñ mujh kuuñ behtar hai
ġham ke kāñToñ kī sej par sonāñ
abr-e-rahmat hai biij vahdat kā
kunj-e-maḳhfī ke khet meñ bonāñ
ḳhanda-e-gul hai girya-e-shabnam
hai hañsī yaar kī mirā ronāñ
ruup darsan dikhā ai sīmīñ-tan
nahīñ to jaatā hai haat señ sonāñ
gard-e-ġham siiñ jo dil huā melā
apne aañsū ke aab siiñ dhonāñ
shoḳh jādū-adā ne mujh pe 'sirāj'
gardish-e-chashm suuñ kiyā Tonāñ
Top Urdushayar.com