do-rañgī ḳhuub na.iiñ yak-rañg ho jā
sarāpā mom ho yā sañg ho jā
tujhe jyuuñ ġhuncha gar hai dard kī bū
lahū kā ghūñT pī dil-tañg ho jā
kahā kis tarah dil ne tujh kuuñ ai ġham
ki dil kī aarsī par zañg ho jā
yahī aahoñ ke tāroñ meñ sadā hai
ki bār-e-ġham siiñ ḳham jyuuñ chañg ho jā
duā hai ai rah-e-ġham tūl-e-umr kā
qadam par hai to sau farsañg ho jā
gale meñ Daal rusvā.ī kī alfī
alif khiñch aah kā be-nañg ho jā
birah kī aag meñ sābit-qadam chal
'sirāj' ab sham.a kā ham-rañg ho jā