is lab kuuñ kab pasand haiñ rasmī kaToriyāñ
laala ke phuul kī haiñ jise qahva ḳhoriyāñ
dām-o-qafas na chāhiye dil ke shikār kuuñ
kartī haiñ band aañkh ke Doroñ kī Doriyāñ
hai bas ki daur-e-sāġhar-e-chashm-e-parī-ruḳhāñ
gir ga.ī haiñ dil ke taaq señ nargis kī ġhoriyāñ
hañste ho kyuuñ jo tum ne mirā dil nahīñ liye
ma.alūm huiiñ tumhārī nigāhoñ kī choriyāñ
ab ġham kī raat sair-e-charāġhāñ hai ai 'sirāj'
ye ashk garm tel hai āñkheñ sakoriyāñ