thā bahāna mujhe zanjīr ke hil jaane kā
chhoḌ dev ab to havā shauq nikal jaane kā
sañg-dil ne dil-e-nāzuk kuuñ mire chuur kiyā
kiyā irāda thā use shīsha-mahal jaane kā
mat karo sham.a kuuñ badnām jalātī vo nahīñ
aap siiñ shauq patiñgoñ kuuñ hai jal jaane kā
āfrīñ dil kuuñ mire ḳhuub bajā kaam aayā
sach sipāhī ko baḌā nañg hai Tal jaane kā
sho.ala-rū jām-ba-kaf bazm meñ aatā hai 'sirāj'
gardan-e-sham.a kuuñ kyā baak hai Dhal jaane kā