dil ko rah-e-hayāt meñ uljhā rahā huuñ maiñ
kaise bhī apne-āp ko bahlā rahā huuñ maiñ
rakh kar ke thoḌī duur kināre pe ye badan
dariyā ke saath saath bahā jā rahā huuñ maiñ
khiḌkī pe ek baar to aa jā ki dekh luuñ
jaanā tumhāre shahr se ab jā rahā huuñ maiñ
matlab yahī huā ki mirā bhī vajūd hai
us ā.īna meñ saaf nazar aa rahā huuñ maiñ
area paḌā huā huuñ maiñ gard-e-zamīn par
miTTī meñ tire lams ko dafnā rahā huuñ maiñ
chāhā thā tujh ko paañv meñ qismat se jiit kar
qismat se mil ga.e ho so Thukrā rahā huuñ maiñ