muñh phertā nahīñ hai kisī kaam se badan
bikhrā paḌā hai aaj magar shaam se badan
bhūlā nahīñ hai ab bhī tirā lams-e-āḳhirī
lo phir sihar uThā hai tire naam se badan
muddat meñ jis tarah koī bichhḌā huā mile
aise lipaT gayā hai dar-o-bām se badan
chhilke to buuñd buuñd mire jism par gire
chipkā liyā hai maiñ ne tire jaam se badan
thoḌā to chalne phirne de mujh ko mire hakīm
thak sā gayā hai roz ke ārām se badan