Shakeb Banarsi

sath ghurbat mein koi ghair na apna nikla

Shakeb Banarsi

saath ġhurbat meñ koī ġhair na apnā niklā
maiñ faqat dard ke sahrā meñ akelā niklā
maiñ ne māñgī thī shab-e-ġham ke guzarne kī duā
aur mire ghar se bahut duur ujālā niklā
koī chehra na koī aks nazar aatā hai
apnī taqdīr kā ā.īna bhī andhā niklā
zindagī kis se ab ummīd-e-mudāvā rakkhe
dushman-e-jāñ to mirā apnā masīhā niklā
vo tirā rañg-e-vafā ho ki tirā tarz-e-jafā
maiñ har ik rañg meñ tasvīr-e-tamannā niklā
kyuuñ na duniyā ko mire qatl pe hairat hogī
saath mere mire qātil kā janāza niklā
maiñ bhī to kaun sī rakhtā huuñ mohabbat us se
apne dushman kī tarah maiñ bhī to andhā niklā
koī tohfa na koī ḳhat na kisī kī tasvīr
aur mire ghar se tire ġham ke sivā kyā niklā
kaT ga.ī umr chhupā.e hue ġham apnā 'shakeb'
apne muñh se na kabhī harf-e-tamannā niklā
Top Urdushayar.com